Saturday, May 10, 2014

Kuch Ansuljhe Pehlu

Khete hain majhab nahi sikhata aapas mein baer rakhna..
Kehte hain ki bht mushkilo se naseeb hoti hai jindgi insan ke roop mein..

Kuch khuda ke naam pe karte hain julm yahan..or kuch majhab ke naam pe..
Kya etna mushkil hai yeh samajhna ki majhab jeene ka tarika samjha sakta hai..
Jindgi jeena nahi...

Kuch dino phele suna ki 200ladkiyo ko kidnap kiya kyuki Padhai unke majhab se waqif nahi rakhti.. 
Kya waqai kisi majhab mein padhai ko mana nahi hai ?
kya waqai insan ne apne anusar majab nahi banaye ?

Kya aaj bhi dimag hamara un poranic baato mein laga hai..jinka hum asal jindgi mein matlab nahi nikal pate ?

Kya fark hota hai ek hindu, ek muslim, ek sikh, ek isai mein ?
kya agar main isai ke ghar mein hota..to kya mera naam charles, chris nahi hota ?
ya fir main musalman hota to mera naam abdul, yusuf, waseem nahi hota ?
to kya main woh banjau jo mujhe mera mjahab sikhata hai ?
ya fir woh banjau jo main banna chahta hun ?
Kya insaniyat ki jagah kam hogai hai ya fir majhabi takato ne humko etna pangu banadiya hai ki hum soch he nahi paate ki majhab se aage ki duniya hai be ya nahi ?

No comments:

Post a Comment